Saturday 29 October 2016

Waqt ka Andaz-e-bayaan

Waqt ka andaz-e-bayaan dekho,
Her zakhm pe murham laga deta hai..
Aur jab takleef hoti hai kisi ke chale jaane se,
Dard-e-Dil ko ashko me baha deta hai...

Zindagi me Aamaal ke siva rakha hi kya hai,
warna daulat me itni taqat nehi ke Jannat dila sake...

Aur mujhe shak hai ke mera khuda mujhese raazi nehi, Warna suna hai ke,
Ibadat karne se dil ko sukun mil jaata tha...

Hamein tere her waade pe aitbaar hai,
Magar apna amal, tere hukm ka inkar hai...
Agar tu na bakshega Rabul-Kareem, toh kidhar jayenge,
Hamara toh her rom rom gunahgaar hai...

Written by,
Mudassir Kamal

6 comments:

  1. Bohat khub MashaAllah Mudassir bhai . Sahi hai
    Baquar

    ReplyDelete
  2. Kisi ne Kya khub kaha hai
    Aseer Jism hai meyaad e khaid la maaloom
    Yeh kis gunah ki paadaash hai khuda Maaloom

    ReplyDelete
    Replies
    1. Asar e mijaaz, bahut khub rakhta hai kise maloom,
      Taseer e alfaaz khuda maloom..

      Delete
  3. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete